High school me achhe number pane ke tips
High school
Achhe number pane ke tips
1.Writing
Writing achhe number pane ke liye bahut hi jaruri hota hai esliye apko exam me achhi writing me likhna. Hoga jisse ki apko achhe number mil sake
Writing ko achha karne ke le apko exam se pahle roj do page likhna chahiye jisse ki apko pahle hi practice ho jaye aur ap exam me achha achha likh sake
Exam me sahi likhne jitna jaruri hota hai utna hi jaruri hota hai ki apki writing saph suthri ho jisse apka impression achha pade jo copy ko check karte hai teacher aur apko achha number prapt ho.
2.question
Exam me question jo bhi puchhe jate hai unka sahi answer dena chahiye hai lekin yadi apko answer nhi aa rha hai to apko question to bilkul bhi nhi chhodna chahiye
Yadi apko question nhi ata ho to apko tenson nhi lena chahiye jo question apko ata hai use pahle kar lena chahiye bad me jo question nhi ata hai usse bhi karna chahiye jo apko ata hai us question se related jisse apko ho kuchh n kuchh number mil hi jata hai
3.Copy
Copy ko achhi tarh se line khiche esse apki copy dikhne me achhi lagti hai aur apko apna achha impression bnane me help karegi copy me jada kat pit nhi karna chaiye nhi to apki copy saph nhi lagegi aur copy check karne vale teacher achha number nhi denge esliye jaha tak ho sake copy par kat pit n hi kare to achha hai
Comments
Post a Comment